Sunday, 13 May 2012

"MAA"

Maa ke aanchal ke saamne rajwadi aasan bhi fika pad jata hai..
Jis kisi par maa ke haaton ka saaya hai, usko kisi bhi makaan ki chaaya ki jaroorat nahi hai..
Bache chahe karle kitni bhi badi bhul, phir bhi maa ke liye wo aankhon ke taare hi rehte hai..
Haar jaye chahe kismat se bache, ek maa ka vishwas hi sahara deta hai usse..
Khud bhuki reh jayegi, par apne bacho ko raja ki tarah rakhti hai maa..
Apni pasand ko maarkar apne bacho ki maang ko poori karti hai maa..
Apne dosto, pyar ya biwi ke aage chahe bhul jaye bache apni maa ko, waqt aane par sada thamegi haath wo hi maa..

Kisine sach hi kaha hai ki maa bhagwan ka doosra avtar hai..
Par kyu log ye bhul jate hai ki us maa ko jo unke liye sab kuch kurbaan kar deti hai..
Aaj waqt hai un kurbaaniyon ka jawab dene ka..
Aaj waqyt hai maa ke dudh ka karz chukane ka..
Aaj waqt hai us devi ko sartaaj pehnane ka..
Aaj waqt hai ek bache ka farz nibhane ka..

HAPPY MOTHER's DAY

No comments:

Post a Comment